*Woh hamsafar thaa magar us se hamnawaee na thee
Ke dhoop chahoon ka aalam raha judaee na thee
Na apna ranj na auroon ka dukh na tera malaal
Shab-e-firaaq kabhi hum ne yun ganwaee na thee
Muhabbatoon ka safar is tarha bhi guzaara thaa
Shikasta dil thay musaafir shikasta paaee na thee
Adawattain theen taghaaful thaa ranjishain theen
Bicharne walay mein sab kuch thaa bewafaee na thee
Bicharte wakt un aankhoon mein thee hamaari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunaee na thee
Kabhi yeh haal ke donoon mein yakdili thee bahut
Kabhi yeh marhalla jaise ke aashnaee na thee
Ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh ‘Naseer’
Wahaan bhi aagaye aakhir jahaan rasaee na thee*