aeno
1
**naya ik rishta paida kyun karain hum
bicharna hi hai to jhagra kyun karain hum
khamoshi se adaa ho rasm-e-doori
koi hungama barpa kyun karain hum
ye kafi hai k hum dushman nahi hain
wafadaari ka daawa kyun karain hum
wafa, ikhlaas, qurbaani, mohabbat
ab inn lafzon ka peecha kyun karain hum****
****hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhari hi tamanna kyun karain hum
kia tha ehad jab lamhon meiN hum nay
to saari umar iifa kyun karain hum
utha kar kyun na phenkain saari cheezain
faqat kamron mein tehla kyun karain hum****
nahi dunya ko jab parwaah hamari
to phir dunya ki parwaah kyun karain hum
****hain baashinday issi basti k hum bhi
so khud par bhi bharosa kyun karain hum
**
Ahmi
2
Re: bicharna hi hai to jhagra q karein......
Bohat khoob!
Re: bicharna hi hai to jhagra q karein......
very nice :)
Re: bicharna hi hai to jhagra q karein......
jaun eliya zinda baad..alag he style hai un ka..bohot khoobsoorat
thank u aeno..
aeno
7
jaun eliya zinda baad..alag he style hai un ka..bohot khoobsoorat
thank u aeno..
hmmm jaun eliya :)
pasand kerna ka bohat shukriya
muncho
8
Re: bicharna hi hai to jhagra q karein......
waah bahut khob!
Re: bicharna hi hai to jhagra q karein......
NICE ONE
Re: bicharna hi hai to jhagra q karein…
nice :k:
aeno
13
Re: bicharna hi hai to jhagra q karein......
thnks bheegi :)