***Na aaya raas humein us se nafratein karna
Bichar ke phir us se milne ki khwahishein karna
Humein tu aaj bhi us ki zarooratein hain bohut
Ussee ne chor diya hai rafaqatein karna
Jo sochiye, tu abhi kal ki baat lagti hai
Woh un se milna tu kya kya shararatein karna
Shikayatein bhi bohut thee hikayatein bhi bohut
Unhee se larna, unhee se muhabatein karna
Malaal dil ko woh aalam junoo ka aalam thaa
Ke jis ka ranj, ussee ki himayatein karna
Guzar gaye hain tu woh din ajeeb lagte hain
Zara se baat pe kya kya adawatein karna
Ajeeb lutf sa hai titleyoon ke pyar mein ay ‘Saba’
Woh phool phool se milna, guzarishein karna …***