Mein ne kaha us se …
Agar mein mil gaya tum ko
Tau is se farq kya hoga
Muhabbat mein hamesha jo mila hai
Woh juda hoga
Us ne kaha mujh se …
Agar tum mil gaye mujh ko
Mein yeh duniya bhula dungi
Tumhare naam pe apna
Mein yeh jeewan bitta dungi
Tumhari zindagi ka mein
Har ek lamha saja dungi
Tumhara martay dam tak
Sath dungi jaan luta dungi
Mein ne kaha us se …
Meri jaan sach kahun tum se
Yeh waday, sapnay, jhootay hain
Humein tanha hi rehna hai
Saharay apne jhootay hain
Agar mein mil gaya tum ko
Mujhe tum chor jaogi
Mera dil keh raha hai tum
Mera dil torr jaogi
Us ne kaha mujh se …
Agar tum mil na paaye tau
Mein aisa kar bhi sakti hoon
Tumhare bin adhoori hoon
Mein janaan, mar bhi sakti hoon
Mein ne kaha us se …
Yeh janaan sab hi kartay hain
Safar mein sab bichartay hain
Bichar kar log martay hain
Mujhe tum ji ke dikhlao …
**