Bhulaya na Jaa sakaa..

**Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
**
**zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
**
**jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka
**
**kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
**
**bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
**
**woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
**
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

Re: Bhulaya na Jaa sakaa..

v nice dania :)

Re: Bhulaya na Jaa sakaa..

Very Nice! Thanks for sharing.

Re: Bhulaya na Jaa sakaa..

nice dania :)

Re: Bhulaya na Jaa sakaa..

Kool Dania

Re: Bhulaya na Jaa sakaa..

Buhat khoob Daniaa,,, Buhat acha intekhab hai apka,,

Ab app jo rahe dil jo kushada nahi rakhtey
Hum bhi safar e jan ka irada nahi rakhtey

Re: Bhulaya na Jaa sakaa..

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

very nice :k:…dania ji…thnx for sharing…!

Re: Bhulaya na Jaa sakaa..

shukriya :)