Bhulaaya na gaya ... !

Haadisah jaane woh kya thaa jo bhulaaya na gaya
Aaj tak jis ka nishaan dil se mitaaya na gaya

In lakeroon mein basa thaa jo naseboon ki tarha
Gardish-e-dauraan ke sadqe, phir banaaya na gaya

Silsilay aise jurray khwaboon ke ankhoon se ke phir
Paas apne is zamaane ko bithaaya na gaya

Hasrat-e-kashti-e-dil doobi kinaaray pe magar
Saamne Saahil ke kuch hum se bachaaya na gaya

Ab karain kis se shikaayat aur ab kis se gila
Guftagu-e-ranj mein jab ranj hi jataaya na gaya

lovelyyy :k:

BOHATH KHOOB! ARIFNAWAZ SAHIB :k: :biggthumb

^ :kiss: luv ur signature :hehe:

Thanks ** ShaRaRa **

of MOSAN rite?

:) nice

Thanks brother !

[QUOTE]
*Originally posted by nikii: *
:) nice
[/QUOTE]

Shukriya ** nikii **
:)

wah wah …nice :k:

Re: Bhulaaya na gaya … !

Haadisah jaane woh kya thaa jo bhulaaya na gaya
Aaj tak jis ka nishaan dil se mitaaya na gaya

In lakeroon mein basa thaa jo naseboon ki tarha
Gardish-e-dauraan ke sadqe, phir banaaya na gaya

Silsilay aise jurray khwaboon ke ankhoon se ke phir
Paas apne is zamaane ko bithaaya na gaya

Hasrat-e-kashti-e-dil doobi kinaaray pe magar
Saamne Saahil ke kuch hum se bachaaya na gaya

Ab karain kis se shikaayat aur ab kis se gila
Guftagu-e-ranj mein jab ranj hi jataaya na gaya

wow beautiful:k::k:
thanks for sharing:)
ap mujhe se gila aur shikaayat ker sakte hain;)
by the way kis ke karne hai,lamhay ke:hehe:

**

Yeh mor bhi ayega, kabhi socha bhi nahee thaa
Hajoom-e-dostaan mein hogi tanhae kabhi socha bhi na thaa

Kyon hogaye pathar se yeh paoon hamaaray
Hum ne tu ussay mur kar daikha bhi nahee thaa

Kisi ke sath chanlay ki umeed bhi kia hoti
Hamaaray saath tu apna saaya bhi nahee thaa

Dil yeh nadaan ke ab tak yaad karay hai ussay
Jis ne ek baar pallat kar daikha bhi nahee thaa

Yeh kaise maan lain hum ko samajh na saka
Woh shaks jo is kadar saada bhi nahee thaa

Is taa'luq ko nibhaanay mein gharz apni bhi thee shaamil
Ke tanha chalnay ka hum mein hausla bhi nahee thaa

Jab yeh socha ke bhar hi jayega guzartay wakt ke saath
Tab zakhm ki gehraee ka andaaza bhi nahee thaa

Shikwa jissay hamesha in ansoo'on se raha
Aaj yaad aaya tu aankh mein ek sitaara bhi nahee thaa
**

nice:)

:k: :k: :k:

zabar10 :k: