guzar gaya jo zamaana usay bhulaa hi do
jo naqsh ban nahi sakta usay mita hi do
guzar raha hai jo lamha usay amar kar lein
mein apnay khoon say likhta hoon tum gawaahi do
kisi tarha se taghaaful ka baab-e-shak to khulay
nahi mein pyar k kaabil to kuch saza hi do
ruki ruki c hawa hai thaka thaka hai chaand
wafa k dashat mein haeraa’n kharay hein raahi do
khulay ga tark-e-ta’aluk k baad baab-e-fana
ye aik aakhri parda bhi ab utha hi do