Hum tere shehar mein aaye hain musafir ki tarah
Sirf ek baar mulakaat ka mauqa de day …
Teri manzil hai kahaan mera thikaana hai kahaan
Subha tak tujh se bichar kar mujhe jana hai kahaan
Sochne ke leye ek raat ka mauqa de day …
Apni aankhoon mein chupaa rakhay hain jugnoo mein ne
Apni palkoon pe saja rakhay hain aansoo mein ne
Meri aankhoon ko bhi barsaat ka mauqa de day …
Aaj ki raat mera dard-e-muhabbat sun lay
Kap’kapaatay huwe hontoo ki shikaayat sun lay
Aaj izhaar-e-khayaalaat ka mauqa de day …
Bhoolna thaa tu yeh iqraar kia hi kyon thaa
Bewafa tu ne mujhe pyar kiya hi kyon thaa
Sirf do chaar sawaalaat ka mauqa de day …
Hum tere shehar mein aaye hain musafir ki tarah
Sirf ek baar mulakaat ka mauqa de day …
*