*Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarah
Sirf ek baar mulakaat ka mauka de day
Meri manzil hai kahaan, mera thikaana hai kahaan
Subha tak tujh se bichar kar mujhe janaa hai kahaan
Sochne ke leye ek raat ka mauka de day
Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarah
Apni aankhoon mein chupa rakhay hain jugnoo mein ne
Apni palkoon pe saja rakhay hain aansoo mein ne
Meri aankhoon ko bhi barsaat ka mauka de day
Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarah
Aaj ki raat mera dard-e-muhabbat sun lay
Kap’kapaatay huwe hontoo ki shikayat sun lay
Aaj izhaar-e-khayalaat ka mauka de day
Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarah
Bhoolna thaa tau yeh iqraar kiya hi kyon thaa
Bewafa tu ne mujhe pyar kiya hi kyon thaa
Sirf do chaar sawalaat ka mauka de day
Hum tere shehar mein aaye hain musaafir ki tarah
Sirf ek baar mulakaat ka mauka de day*