sach ha humein ko aap ke shikway baja na thay
beshaak sitam janab ke sab dostaana thay
haan jo bi jafa aap ne ki qaiday se ki
haan hum hi karband-i-asool i wafa na thay
ayee to yoon ke jasay hamesha the meherbaan
bhoole to yoon ke gooya kabi aashna na thay
her chara gher ko charagari se gureez tha
werna humein jo dukh they bahut ladawa na thay