bhool na sakay

Intezar bhi uss ka hudd say ziada kiyaa
Pyar bhi uss say bey panah kiyaa
Khuwab bhi bohat dikhaye thay uss nay
Lekin! beech safar mein he chor diyaa"

“Roz subha khud say aik waada kartay hain
Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain
Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain”

“Koi kabhi un chehron ko parhay
Jo afsaanon ki tarha hotay hain
Woh ankhein jin mein shokhion ki jagha
Gehray gehray samandar hotay hain
Woh hont jin hon nay hansi ki bajaye
Chup ki chaadurain orhi hoti hain
Woh dil jin mein hazar khuahishain nahi
Tootay huway armaan chupay hotay hain”

“Beymaainay hotay hain woh lamhay jub tum paas nahi hotay
Lagtaa hai mujhay aisay ke zindagi tehr gayee ho jaisay
Aasman bhi beyrounuq sa lagtaa hai mujhay ke
Kisi nay chand taaron ki roshni chura lee ho jaisay”

“Sitaron ke bagher asmaan mein rakha hai kia?
Bin teray jeenay mein rakha hai kia?
Lagta hai sub kuch adhoora adhoora sa
Khushi ke baghair hansnay mein rakha hai kia?”

“Jitna tum ko chaaha tha hum nay
Utnaa kisi ko chaah na sakay
Socha tha bhool jaaingay kabhi na kabhi
Lekin najaanay kyoun bhulaa na sakay
Honton nay to chupa liye armaan dil ke
Lekin ankhon say chupa na sakay”

Re: bhool na sakay

:k: nice one , janwar bhai

Re: bhool na sakay

bhot hoob janwar

Re: bhool na sakay

:flower2: very nice bro :flower2:

Re: bhool na sakay

WOW .. Janwar Jano.. tum :eek: Bhi… :wink:

Very Nice :flower2:

Re: bhool na sakay

Nice Nice :biggthumb:

ps. first one in the right forum :halo:

Re: bhool na sakay

Re: bhool na sakay

Tnx Chodhry...