bhool na jana

**Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna**

Re: bhool na jana

aapkii yeh koshish achchhii hai magar shaayad aapko thoRaa Ghazal kahne kii jaankaarii honii chaahiye...shaayad aap Ghazal kii haiyat se waaqif nahiiN haiN...aapke Khayaalaat achchhe haiN magar unko alfaaz meN somone ke liye thoRii meHnat darkaar hogii.

ummeed hai k aapne mere be-laag tabsire kaa buraa nahiiN manaayaa hogaa! agar buraa lagaa ho to ma'zarat Khowaah huN. shukria.