Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar

Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar
To bhool samaj ka bhool ko bhula dana
Lakin bhulana sirf mary bhool ko
Kahin hum ko bhula na dana
Jo bhool kar bhe ham na tumhy bhula diya
To mari is bhool ko tum dil sa bhula dana

Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa

***Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
Ab kyaa kahein ye qissaa puraanaa bohat huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
Ai marg-e-naagahaan teraa aanaa bohat huaa

Ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
Itney se vaaqaye kaa fasaanaa bohat huaa

Ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt barhaanaa bohat huaa

Ab kyoon na zindagii pe muhabbat ko vaar dein
Is aashiqii mein jaan se jaanaa bahut huaa

Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Maanaa ki us se milnaa milaanaa bohat huaa

Kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
Ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bohat huaa

Kahtaa thaa naasehon se mere muunh na aa_iio
Phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bohat huaa

Lo phir tere labon pe usii bevafaa kaa zikr
Ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa!!***

Re: Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar

i think i read this some where b4 but i really liked this poem

Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein...

Kabhi Hum Bheegte Hain Chahaton Ki Taiz Baarish Mein...
Kabhi Barson Nahin Milte Kisi Halki Se Ranjish Mein...

Tumhi Mein Dewtaon Ki Khu Boo Nahin Thi Warna...
Kami Koi Nahin Thi Mere Andaaz-E-Parastish Mein...

Ye Pehle Soch Lo Phir Aur Bhi Tanha Na Hojana...
Usey Chhoone Ki Khuwahish Mein Usey Paane Ki Koshish Mein...

Buhat Se Zakham Hain Dil Mein Magar Aik Zakham Aisa Hai...
Jo Jal Uthta Hai Raaton Mein Jo Lo Deta Hai Baarish Mein...

Re: Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar

thx nyzgrl

Re: Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa

Bohat khoob..Ahmad Faraz ki kia baat hay..

Re: Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar

Wow!!! Ahmed Faraz is the best poetry LEGEND living Today

Re: Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar

Wow, just great!

Re: Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar

Very nice :k:

Re: Bhool kar bhe ham sy koe bhool hoy ho Agar

thx allllllllll of u