bhool jatay ho

Andheri raat main shuma jalana bhool jatay ho
Humari yaad aati hai bhulana bhool jatay ho

Jo ahsan tum samajhtay ho wo ahsan to nahi mugar
Jab ahsan kartay ho jatana bhool jatay ho

Tumhari ik yehi adut pereshan hum ko rakhti hai
Nazar main to aajatay ho samana bhool jatay ho

Humain mehsoos hota hai humaray qurb main aakar
Jo tanhai main beeti hai sunana bhool jatay ho

Tumharay haath main aksar gulabi phool hota hai
Humari rah main lekin bichana bhool jatay ho

Tumhain to laut kar janay ki aksar fikar rehti hai
Magur jab laut jatay ho to ana bhool jatay ho

Suna hai tum apni hatheli per humara nam likhtay ho
Magur jab hum say miltay ho dikhana bhool jatay ho

Nice1 m kamal..

Aryaan

thanx

:flower2: nice:flower1:

thanx Dynamic fire 4 liking

Bahut aa’laa …:k:

thanx arif bhai, pehlay ye bataawo aap kidar they, kafi dano say


[QUOTE]
*Originally posted by m kamal: *
thanx arif bhai, pehlay ye bataawo aap kidar they, kafi dano say
[/QUOTE]


Zakhmoon ko mere gou bahut hamdardeyaan mileen
Alfaaz mere dard ka marham na kar sakay
Rasmoon ne daleen paaoon mein zanjeer is tarah
Kuch tum na kar sakay ... Kuch hum na kar sakay ...


Kamal SB: AOA,
Actually, I was ill aur phir yeh huwa ke kuch zakhm bhi mil gaye tu kuch dinoo tak GS per na aa saka ... Thanks for asking ...

nice to c u again on GS, Khuda aap ko ghamon awr bimarion ke saye say b dor rakay. aamin

**Tumharay haath main aksar gulabi phool hota hai
Humari rah main lekin bichana bhool jatay ho

Suna hai tum apni hatheli per humara nam likhtay ho
Magur jab hum say miltay ho dikhana bhool jatay ho**

Wah… Zabrdast :flower2:

Suna hai tum apni hatheli per humara nam likhtay ho
Magur jab hum say miltay ho dikhana bhool jatay ho

lovely…:flower1:

thanx reet