**Zaroori kaam hai lekin rozaana bhool jata hun
Mujhay tum se muhabbat hai btana bhool jata hun…
Teri galiyon mai phirna itna acha lagta hai
Mai rasta yaad rakhta hun thikaana bhool jata hun…
Bass itni baat per mai logon ko acha nahi lagta
Mai naiki ker tou deta hun jatana bhool jata hun…
Shararat le k aankhon mai wo uss ka dekhna tauba
Mai nazron pe jammi nazrein jhukana bhool jata hun…
Muhabbat kab hui sab yaad hai kiun k
Mai kr k muhabbat ko bhulaana bhool jata hun…!!**