Andheri raat mein shama jalaana bhool jaate ho
Humari yaad aati hai bhulaana bhool jaate ho
Tumhari ik yehi aadat pareshaan hum ko rakhti hai
Nazar mein tho aa jaate ho samaana bhool jaate ho
Tumhare haath mein aksar gulaabi phool hota hai
Humari raah main lekin bichaana bhool jaate ho
Suna hai tum apni hatheli par humara naam likhte ho
Magar jab hum se milte ho dikhaana bhool jaate ho