Bhool jaain to aaj behtar hay.........

**Bhool jaain to aaj behtar hay
Silsilay qurb k judai kay
Bujh chuki khwahishon ki qindelain
Lut chukay shehr aashnai kay

Raigaan sanaton say kya lena
Zakhm ho, phool ho, sitaray ho
Mosamoon ka hisaab kya rakhna
Jis nay jaisay bhi din guzaray ho

Zindagi say shikayatain kaisi
Ab naheen hain agar gilay thay kabhi
Bhool jaain ke jo hooa so hooa
Bhool jaain ke hum milay thay kabhi

Aksar auqat chahnay per bhi
Faslon main kami naheen hoti
Baaz auqat janay walon ki
Wapsi say khushi naheen hoti…!**

Re: Bhool jaain to aaj behtar hay.........

**Aksar auqat chahnay per bhi
Faslon main kami naheen hoti
Baaz auqat janay walon ki
Wapsi say khushi naheen hoti...!

Kuch log aise hote hain jin ke substitute mil jate hain
**

Re: Bhool jaain to aaj behtar hay…

^Shayad…:teary3:
jinko mily hon unki hum sy mulaqaqt ho to pata chalay ga…

Re: Bhool jaain to aaj behtar hay…

mil jate hain.. jo aap ka ho hi na.. uska subsitute to her jaga mikta hai.. jo aap ko ho aur bichaR jae uska substitute nahin milta

Re: Bhool jaain to aaj behtar hay…

right…:k:

Re: Bhool jaain to aaj behtar hay.........

**
Baaz auqat janay walon ki
Wapsi say khushi naheen hoti...!

True.

**

Re: Bhool jaain to aaj behtar hay…

Nice. :k: