kahan aa key rukney they rastay! kahan mor tha! usay bhool ja
woh jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahin mila usay bhool ja
wo teray naseeb ki barishein kisi aur chat pey baras gayein
dil-e-bekhabar meri baat sun! usay bhool ja usay bhool ja
mein tu ghom tha teray hi dhiyan mein, teri aas, teray guman mein
saba keh gayi meray kan mein, meray sath aa, usay bhool ja
kisi ankh ,mein nahin ishk gham, teray baad kuch bhi nahin hai kam
tujhey zindagi ney bula diya, tu bhi muskara, usay bhool ja
kahein chak-jan ka rafo nahi, kisi asteen pey laho nahin
key saheed-e-rah-e-mulal ka nahin khoon baha, usay bhool ja
na woh ankh hi teri ankh thi, na woh khawab hi tera khawab tha
dil-e-muntazir tu yeh kis liye, tera jagna, usay bhool ja
yeh jo raat din ka hai khel sa, usay dekh, us pey yaqeen na ker
nahin aks koi bhi mustakil, ser-e-aina, usay bhool ja
jo basat-e-jan hi ulat gaya, woh jo rastey sey palat gaya
usay rokhney sey hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja
tu yeh kis liye shab-hijar key har isharay mein usay dekhna
woh falk key jis pey miley they hum, koi aur tha, usay bhool ja
mujhey chand ban key mila tha jo, teray sahilon pey khila tha jo
woh tha eik darya wasal ka, so utar gaya, usay bhool ja
hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)