Inn aansuon se kis ko kya huwa haasil
Mana kehna hai aasan, nibhaana hai mushkil
Phir bhi aye mere yaar
sunn le meri iltejaa
Bhool ja
Jo huwa ussey
Bhool ja
Woh tau nahi tha teri wafaaon ke Qaabil
Jaane kya soch kar tu ne de diya apna dil
Iss baar dil ka sauda karna na yun bewaja
Bhool ja
Jo huwa ussey
Bhool ja
Teri zindagi teri hai, kisi ki amaanat nahi
Jab chahe toar de, aisi ek imaarat nahi
Iss baar dil ka sauda karna na yun bewaja
Bhool ja
Jo huwa ussey
Bhool ja
Hai Qasam tujhe muskura
Khud ko yun na de sazaa
Unn yaadon ko tu bhool ja…
Kuch aansoo mere jo tham na paaye Zindagi ke sath chalte rahe harr pal mere saaye **
**Main ne maanga tha raushni ka charaagh Aur andhere mujhe ujaalon mein nazar aaye