Main bhul jaun tumhain ab yahe munasib hai
magar bhulana bhe chahun to kis tarhan bhulun
kay tum to aik haqiqat ho koi khauab nahe
yahan to dil ka ya aalam hai kia kahun
(kambakhat)
bhula sakana ya wo silsila jo tha he nahe
wo aik khayal jo aawaz tak gaya he nahe
wo aik baat jo main kah nahe saka tum say
wo aik rabt jo hammain kabhe raha hi nahe
mujhay hai yaad wo sab jo kabhe hua hi nahe
AGAR YA HAAL HAI DIL KA TO KOI SAMJHAY