Masoom si dosti ka bas itna sa Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai
Kya Shart-e-dosti hai, kya Shart-e-nibahna hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai
Uss paar utrne ki Umeed bohot kam hai
Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai
Samjho ya na samjho wo Andaaz-e-dosti ka
Ek khaas dost ko, ek sher sunaana hai
Bholi si ada meri, dosti ki Zid Par
Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai!!