**Bheegi Rutton mein Aksar, Palkon pay Ashkon k Charaagh Saja ker,
Aaj bhi Na Jaanay Kion? Tujhay Aankhain Talaash Kerti hain.
Teri Yaadain Udaas Kerti hain. Tanhaiyon k Dasht-e-Veraan mein, Chahatain Daaman
mein Samaitay, Wisal K Pur-Noor Lamhon mein, Kisi Milan ki Aas Lay ker, Tujhay
Hasratain Talaash Kerti hein. Teri Yaadain Udaas Kerti hain..**