Thundi Aag mein jaltay Jeevan beet gaya
Yoon tu char qadm pay meri munzil thee
Laykin chultay chultay jeevan beet gaya
Shaam dhalay us ko nudiya paar aana tha
Suraj dhultay dhultay jeevan beet gaya
Aik anookha supna dhaikha neend uree
Ankhein multay multay jeevan beet gaya
Aslam ki behroop ko apna roop kahoon
Aslam roop badultay badultay jeevan beet gaya ![]()