*Dukh ki lehar ne chaira hoga
Yaad ne kankar phainka hoga
Aaj tau mera dil kehta hai
tu is wakt akela hoga
Mere choomay huwe haathoon se
Auroon ko khat likhta hoga
Bheeg chali ab raat ki palkain
Tu ab thak kar soya hoga
Rail ki ghehri seenti sun kar
Raat ka jungle goonja hoga
Shehar ke khaali station per
Koi musafir utra hoga
Aangan mein phir chireyaan boleen
Tu ab sou kar uttha hoga
Yaadoon ki jalati shabnam se
Phool sa mukhra dhoya hoga
Motti jaisi shakal bana kar
Aaneay ko tak’ta hoga
Shaam huwi ab tu bhi shaayad
Apne ghar ko lautaa hoga
Neeli dhundli khamoshi mein
Taaroon ki dhun sunata hoga
Mera saathi shaam ka taara
Tujh se aankh milaata hoga
Shaam ke chaltay haath ne tujhko
Mera salaam tau bheja hoga
Pyaasi kurlaati koonjoon ne
Mera dukh tau sunaaya hoga
Mein tau aaj bahut roya hoon
Tu bhi shaayad roya hoga
‘Nasir’ tera meet puraana
Tujh ko yaad tau aata hoga …*
Nasir Kazmi