Phir saheloon ki dhoop main kinaray bhatak gaye,
*Dukh ke saleeb pe woh gham kay maray bhatak gaye,
Sehraoon main bagola ban kay raha uski talash main,
*Jo rasta dekhatay thay woh sitaray bhatak gaye,
Raqeboon say kia gilla karain apnay bhi howay juda,
*Qasmeen jo kha rahay thay woh piyaray bhatak gaye,
Hum ko umeed thi woh baharoon ko laien gay,
*Jin pay thay takiya kartay woh saharay bhatak gaye,
Duniya main sarpheroon ki nahi ab bhi koi kami,
Jo masoon thay woh ashiq baycharay bhatak gaye..