khail k medaan main loog daad dainay attay hian
Apnay pyaroon ka haosla barhatay hain
Main alag sab say bahrwain khilari ko Hout karta rehat hoon
Bahrwan khilari bhe kya ajab khilari hai
khail hota rehat hai shor machata rehta hia
aur woh alaag sab say intazar karta hai
aik aisy lamhay ka aik aise saat ka
jis main hadsa ho jaye jis main saneha ho jaye
too woh khailnay niklay
aik narey tehseen aik narey khushkun us k naam par ho jaye
sab khilarion k sath woh bhe motabr ho jaye
par kum hee hota hai
phir bhe loog kehtay hian
khail say kilari ka umar bhar ka rishata hai
umar bhar ka yeh rishta toot bhe too sakta hia
akhri wistle k sath chalny wala dil doob bhe too sakta hai
tum bhe Iftikhar Arif bharwain kilari hoo
intazar kartay hoo aik aisy lamhay ka
aik aise saat ka jis main hadsa ho jaye
jis main sanhya ho jaye
Tum bhe iftakhar Arif
Tum bhe toot jao gay
tum bhe toot jao gay