Sadaf
March 1, 2007, 9:03am
1
I started a thread back in 99 “Yeh bhaow kia bala hai?”
Main ne socha ke aajkal ke saama’ein se poochon ke un ka is bhaow ke baray main kia khiyal hai
Cant bring up that thread because i am afraid it’ll get locked
so kahani kuch yoon hai
ke jaisay ke aap agree karain gay ke hamain hamesha bachpan main bhaow se dara dhamka ke ammi abbu hazaaron kaam nikalwa liya kartay thay (those who grew up in Pakistan might agree)
Mera sawal yeh hai ke Yeh bhaow kia balla hai ?
kia ussay aaj tak kisi ne dekha hai?
us ki shakal kaisi hai?
aaya woh sirf bachon ko hi darata hai ya baray bhi us se dartay hain?
Ab koi yeh na kahay ke bhaow = Bahu
I need serious replies!!
AQ
March 1, 2007, 9:05am
2
Re: Bhaow (part-2)
bhaow bhaow bhaow :D
for some mother in-laws, bhaow aik bala hee hai :D
Sadaf
March 1, 2007, 9:05am
3
Re: Bhaow (part-2)
^ is jawab se guraiz karain
Re: Bhaow (part-2)
bhawo billa mama kehti rehti hai mujhe pata nahi kiya matlab hai
AQ
March 1, 2007, 9:07am
6
Re: Bhaow (part-2)
piyaaraY bachoN bhaow kiyaa hai
kiyaa tum naY uss ko dekhaa hai
aur kahaaN woh rehtaa hai??
Re: Bhaow (part-2)
Husan ko chaand jawani ko kanwal kehtay hain
UNN :$ ki soorat nazar aayay to BHOW BHOW Kartay hain...
AQ
March 1, 2007, 9:08am
8
Re: Bhaow (part-2)
iss balaa kaa full name is Bhaow Bacha
Meraa bhaaow bachaa T.V. kaY pass rehtaa thaa
Sadaf
March 1, 2007, 9:08am
9
Re: Bhaow (part-2)
aap log nahin badlain gay..
das saal pehlay bhi aisay hi replies millay thay
Sadaf
March 1, 2007, 9:09am
10
Re: Bhaow (part-2)
aur mera bhaow bacha is waqt TV dekh raha hai
Re: Bhaow (part-2)
Sadaf:
^ aisha aap ko?
haan mama kehti hain
haye mera bhawo billa!
pata nahi kia matlab hai
Sadaf
March 1, 2007, 9:10am
12
Re: Bhaow (part-2)
Bus phir theek hai.. mera aik sawal ja jawab to mil gaya. ...
ab main ja ke aap ka photo J dekhti hoon :D
Re: Bhaow (part-2)
Bahow aik darinda hai…
kia uss nay tum ko, peeta hay ?
Sadafed ,
ham wo nahi jo hawa ko daikh kar badal jain :-p
Sadaf
March 1, 2007, 9:14am
15
Re: Bhaow (part-2)
dada abba, ji haan hawa aap ko dekh ke apna rukh zaroor tabdeel kar laiti hai
AQ
March 1, 2007, 9:14am
16
Re: Bhaow (part-2)
baad-e-naseem-o-saba kee baat naa karo
woh tau khud aaj kal dar badar phirti haiN
ASA
March 1, 2007, 9:18am
18
Re: Bhaow (part-2)
kia uss nay tum ko, peeta hay ?
Sadafed ,
ham wo nahi jo hawa ko daikh kar badal jain :-p
tumhay baRy zoor se peeta hai
aur hum ne daikha hai…
BAHOW! dunya ke number 1 dangrous person…
Re: Bhaow (part-2)
bass kia karoon, mera husan daikh kar sharma jaati hain iss liay shayad
Anwaar ,
dar badar phirti nahi, balkay log thokarain maar maar kar phiraatay hain :-p
Sadaf
March 1, 2007, 9:26am
20
Re: Bhaow (part-2)
aisha mera question tha....
Mera sawal yeh hai ke Yeh bhaow kia balla hai ?
kia ussay aaj tak kisi ne dekha hai?
us ki shakal kaisi hai?
aur aap ne bola ke aap ki ammi aap ko bhaow billa bolti hain...