Bhalay dinon ki baat hai
Bhalii see ik shakal thee
Ya nah ke husN aam ho
Na dekhnay mein aam sii
Na ye ke wo chalay tu kehkash`N sii rah-guzaR ho
Mgr wo saath ho tu phir bhala bhala safR lagay
Koi bhee rut ho us ki chubh
Fiza ka rung roop thee
Wo garmiyoN ki chaoun thee Wo sardiyoN ki dhoop thee
Na mudatton judaa rahay
Na shaam-o-subh udaas ho
Na rishta-e-wafa pe zid
Na ye ke azn aam ho
Na aisee khush-libasiya`N
Ke saadgi gila kere
Na itnii be-takaluffii
Ke aaina hayaa kere
Na ikhtalat mein wo ram
Ke bud-maza hon khwahishien
Ne is Qadr supardgii
Ke zich kerein nawazishien
Na aashQi junoon ki
Ke zindagi azaab ho
Na is Qadr khatoor-pun
Ke dostii kharab ho
Suna hai ik umer hai
Mamalat-e-dil kii bhee
Wasaal-e-Jaanfara tu kia
FaraQ-e-Jaan-gusal ki bhee
Na us ko mujh pe maan tha
Na mujh ko us pe zam hee
Jo ehed hee koi na ho
Tu kia ghum-e-shikastagii
Su apna apna rasta
Hunsii khushii badal liya
Wo apnii rah chal parii
Mae apnii raah chal diya
Bhalii see ik shakal thee
Bhalii see us ki dostii
Ab us ki yaad raat din
Nahi mgr kabhi kabhi
Bhalay dinon ki baat hai
Bhalii see ik shakal thee
Ya nah ke husN aam ho
Na dekhnay mein aam sii
Na ye ke wo chalay tu kehkash`N sii rah-guzaR ho
Mgr wo saath ho tu phir bhala bhala safR lagay
Koi bhee rut ho us ki chubh
Fiza ka rung roop thee
Wo garmiyoN ki chaoun thee Wo sardiyoN ki dhoop thee
Na mudatton judaa rahay
Na shaam-o-subh udaas ho
Na rishta-e-wafa pe zid
Na ye ke azn aam ho
Na aisee khush-libasiya`N
Ke saadgi gila kere
Na itnii be-takaluffii
Ke aaina hayaa kere
Na ikhtalat mein wo ram
Ke bud-maza hon khwahishien
Ne is Qadr supardgii
Ke zich kerein nawazishien
Na aashQi junoon ki
Ke zindagi azaab ho
Na is Qadr khatoor-pun
Ke dostii kharab ho
Suna hai ik umer hai
Mamalat-e-dil kii bhee
Wasaal-e-Jaanfara tu kia
FaraQ-e-Jaan-gusal ki bhee
**so ik rooZ kia hova
wafa pey behas chirr gaye
meiN ishaq ko amar kahooN
wo meri Zid sey chirr gayee
mein ishaq ka aseer tha
wo ishaq ko qafas kahey
key umer bhar key saath ko
bad-ter az-havas kahey**
Na us ko mujh pe maan tha
Na mujh ko us pe zam hee
Jo ehed hee koi na ho
Tu kia ghum-e-shikastagii
Su apna apna rasta
Hunsii khushii badal liya
Wo apnii rah chal parii
Mae apnii raah chal diya
Bhalii see ik shakal thee
Bhalii see us ki dostii
Ab us ki yaad raat din
Nahi mgr kabhi kabhi