\=*=/ Bhale Si Aik Shakal Thi \=*=/

**Bhale Si Aik Shakal Thi**

Bhale dinon ki baat hai, bhali si aik shakal thi
Na yeh ke Husn-e-aam ho na daikhne main aam si
Na yeh ke woh chale to kahakshan si rahguzar lage
magar woh sath ho to phir bhala bhala safar lage
koi bhi rut ho uss ki chub faza ka rang roop thi
woh garmion ki chaon thi, woh sardion ki dhoop thi
Na aisi khush labasian ke saadgi gila kare
Na itni be-takalufi ke aayena haya kare
Na aashqi junoon ki ke zindagi azab ho
Na iss kadar kathor pan ke zindagi kharab ho
so ik roz kia hoa, wafa ki bahas chir gayi
main ishq ko amar kahoon, woh meri zid se chir gayi
main ishq ka aseer tha, woh ishq ko qafas kahe
ke umar bhar ke sath ko woh bad tar az hawis kahe
Na uss ko mujh pe maan tha, na mujh ko uss pe zaum hi
Jab Ehad bhi koi na ho to kia Gham-e-shikastagi
So apna apna raasta hansi khushi badal liya
woh apni rah chal pari main apni rah chal para
bhali si uss ki shakal thi, bhali si uss ki dosti
ab uss ki yaad raat din nahin, magar kabhi kabhi

beautiful and welcome back it is nice to see you back....

hope you were ok....

Re: ==/ Bhale Si Aik Shakal Thi ==/

khoooooob :k: nice :slight_smile: thanks for sharing :flower2:

Zabardast :biggthumb

END Result... Array LaRki Tou Nikal Gai Na :D

:sleep:

Wow… Seema You have a marvelous choice… :k:

Keep posting such a good stuff… :~)

^^ Yes, marvelous indeed.

:k:

Sweet stuff.

Buhar Khoob:flower1:…

***Buhar *** Khoob ye kiya hot hai :confused:

Xcellent S …:k: