bhale dinon ki baat........awesome

bhale dinon ki baat hybhali si aik shakal thi
na ye k husn ta’am ho na dekhne main aam si
na ye k wo chale to kehkashan si rahguzar lage
magr wo sath ho to bhala bhala safr lage
koi bhi rut ho us ki chab fiza ka rang-o-rup thi
wo garmion ki chaoon thi wo sardioon ki dhoop thi
na mudatoon juda rahe na sath subh-o-sham ho
na rishta-e-wafa pe zid na ye k izn aam ho
na esi khush libasian k sadgi gila kare
na esi bay takalofi k aaina haya kare
na aashki junoon ki k zindagi aazab ho
na is kadar kathoor pan k doosti kharab ho
kabhi to baat bhi khafi kabhi sukot bhi sukhan
kabhi to kasht-e-zaafran kabhi udasioon ka ban
suna hay ik umr hay mamlat-e-dil ki bhi
visaal-e-jan faraz to kiya firaq-e-jangmal ki bhi
so aik rooz kiya hua wafa pay behs jhir gai
main ishq ko amar kahoon wo meri baat say chir gai
main ishq ka aseer tha wo ishq ko kafs kahe
k umr bhar k sath ko badtaraz hawas kahe
shajr hijr nahi k hm hamesha paya-e-gul rahen
na dho rahen k rasian galy main mustakil rahen
main koi paintng nahi k aik frem main rahoon
wohi jo man ka meet ho usi k preet main rahon
na us ko mujh pe man tha na us ko mujh pe za’am hi
jab ehd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi
so apna apna rasta hasi khusi badal diya
wo apni rah chal pari main apni rah chal diya
bhali si ik shakal thi bhali si us ki doosti
ab us ki yad raat din nahi magr kabhi kabhi

Re: bhale dinon ki baat…awesome

Khubsoorat Poem hai :k:

Re: bhale dinon ki baat........awesome

Nice one BY:-)

Re: bhale dinon ki baat…awesome

Bohat zabardast :k: Thanx for sharing :slight_smile:

Re: bhale dinon ki baat........awesome

zabardast!

Re: bhale dinon ki baat........awesome

waqai khubsurat hai

Re: bhale dinon ki baat........awesome

nice, whose the poet?

Re: bhale dinon ki baat........awesome

nice :k