bhalay dinoun ki baat hai

bhalay dinoun ki baat hai, bhali si aik shakal thee
na yeh kay husn-e-taam ho, na dekhnay main aam si

na yeh ke woh chalay to kahakshan si rahguzar lagay
magar woh saath ho tau phir bhala bhala safar lagay

koi bhi rut ho uss ki chub faza ka rang roop thee
woh garmioun ki chhaoun thee, woh sardioun ki dhoop thee

na aisi khush libaasian ke saadgi gila karay
na itni be-takalufi ke aayena haya karay

na aashqi junoon ki, kay zindagi azaab ho
na iss qadar kathor pun, kay zindagi kharaab ho

so aik roz kia hoa, wafa ki behas chhirr gai
main ishq ko amar kahoon, woh meri zid se chirr gai

main ishq ka aseer tha, woh ishq ko qafas kahay
kay umar bhar kay saath ko woh bad tar az hawis kahay
.
.
.
.
.
.
.
.
na uss ko mujh pay maan thaa, na mujh ko uss pe zaum hi
jab ehad bhi koi na ho to kia gham-e-shikastagi

sau apna apna raasta hansi khushi badal liya
woh apni raah chal parri main apni raah chal parra

bhali si uss ki shakal thee, bhali si uss ki dosti
ab uss ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

**so aik roz kia hoa, wafa ki behas chhirr gai
main ishq ko amar kahoon, woh meri zid se chirr gai

main ishq ka aseer tha, woh ishq ko qafas kahay
kay umar bhar kay saath ko woh bad tar az hawis kahay

na uss ko mujh pay maan thaa, na mujh ko uss pe zaum hi
jab ehad bhi koi na ho to kia gham-e-shikastagi

sau apna apna raasta hansi khushi badal liya
woh apni raah chal parri main apni raah chal parra

bhali si uss ki shakal thee, bhali si uss ki dosti
ab uss ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi**

wow:)

seema: u know the name of the shaair :-) ;)???

it's very interesting and very good :)

:k::k:

Re: bhalay dinoun ki baat hai

nice :k:

sorry anwar
lekin qassam say na
hamayn tau kabhi kabhar apna naam bhi yaad nahi rehta :bummer:

LOL … if u can find out the name, that will be nice:flower1: