***bhalay dinon ki baat hay ***
**bhalay dinon ki baat hay **
bhali si aik shakal thi
na yeh kay hussan-e-taam ho
na deakhnay mein aam si
**na yeh kay chalay to kehkashan si rah-guzar lagay **
**phir bhi sath ho to bhala bhala sa safar lagay **
koi bhi rut ho usska jhab
**fiza ka rang-o-roop thi **
**who garmion ki chaoon thi **
who sardion ki dhoop thi
na muddaton juda rahay na sath subh-o-sham hi
na rishta-e-wafa pay zid na yeh kay izan-e-aam ho
**na aisi khush labasian kay sadgi gila karay **
na itni bay takalufi kay aaina haya karay
**na ikhtalat mein who ramm kay bad-mazah hoon khawahishain **
na iss qadar sapurdagi kay zich karin nawazshain
**na ashqi janoon ki kay zindagi azab ho **
na iss qadar khator pan kay dosti kharab ho
kabhi to baat bhi khafi kabhi sakot bhi sukhan
kabhi to kishat-e-zaafaran kabhi udasion ka ban
**suna hay aik ommer hay muamlat-e-dil ki bhi **
wisal-e-jaan fiza to kia firaq-e-jaan gussal ki bhi
so aik roz kia hoa!
**wafa pay behas chir gai **
**meain ishaq ko amar kahon **
who meari zid ssay chir gai
**mein ishaq ka aseer tha who ishaq ko qafas kahay **
yuonhi ommer bhar kay sath ko bad taraz hawas kahay
shajar hajar nahi kay hum hameash pa-ba-gull rahin
na dhoor hein yeh rassiyan galay mein mustaqil rahin
muhabton ki wossatein hamaray dasto-pa mein hein
bass aik dar say nisbatin sagan-e-ba wafa mein hein
**mein koi painting nahin jo ik faream mein rahon **
wohi jo man ka meet ho ussi kay pream mein rahon
**tumhari sooch jo bhi ho mein iss mizaj ki nahi **
mujhay wafa say bear hay yeh baat ajj ki nahi
na ussko mujh pay maan tha na mujh ko uss pay za’am hi
jab koi ehad hi na ho tu kia gham-e-shakastgi
**so appna appna rasta hansi khushi badal dia **
who appni rah pay chal pari mein appni rah pay chal dia
**bhali si ik shakal thi bhali si usski dosti **
**abb usski yad raat din **
nahi magar kabhi kabhi
***By Ahmad Faraz ***
![]()