BHALAY DINO KI BAAT HAI..

Bhalay dino ki baat hai bhali si aik shakal thi
Na yea ke husan-e-tam ho na dekhnay main am si
Na yea ke wo chalay to kehkishan si rah guzar lagay
Magar wo sath ho to phir bhala bhala safar lagay
Koi bhi rutt ho us ki chhab fiza ka rang roop thi
Wo garmion ki chaon thi wo sardion ki dhoop thi
Na aysi khosh libasian ke sadgi gila karay
Na itni be-takalufi ke aina haya karay
Na ashiqi junoon ki ke zindgi azab ho
Na is qadar khator pan ke zindgi kharab ho..


-


-


-


-


So aik roz kya howa, Wafa ki behes chirdh gai
Main ishq ko amar kahon, wo meri zid se chird gai
Main ishq ka aseer tha, wo ishq ko qafas kahay
Ke umar bhar ke sath ko wo bad-tar-az-hawas kahay
Na us ko mujh pe maan tha na mujh ko us pe zaam hi
Jab ehad bhi koi na ho to kya gham-e-shikastagi
So apna apna rasta hansi khushi badal liya
Wo apni raah chal pari, main apni raah chal para
Bhali si aik shakal thi, bhali si us ki dosti
-
Ab us ki yaad, raat, din, NAHI magar kabhi, kabhi.

Re: BHALAY DINO KI BAAT HAI..

Wah … :k:

Re: BHALAY DINO KI BAAT HAI..

one of my old fav.

Re: BHALAY DINO KI BAAT HAI..

^ yup mine tooo..i have read it many many many times...v nice

Re: BHALAY DINO KI BAAT HAI..

v nice .