**bohot farsooda lagtey hain mujhey ab yar k qissey
gul-o-gulzaar ki bateyn, lab-o-rukhsaar k qissey
yahan sab k muqadder main faqat zakhm-e-jadai hai
sabhi jhootey fasaaney hain wisaal-e-yar ki qissey
bhala ishq-o-mohabbet se kisi ka peyt bharta hai ?
suno ! tum ko sunaata hu mai kaarobaar k qissey
mere ahbaab kehtey hain yehi ik ayb hai mujh main
ser-r-divaar likhta hu pas-e-divaar k qissey
mai akser is liye logon se ja kr khud nahi milta
wohi beykaar ki bateyn, wohi beykaar k qissey**