Eik aadmi kafee dair sey apni cheenk ko rooknay ki koshish kar raha tha. Aur yeh tamasha eik aur aadmi dekh raha tha. Jub us aadmi sey raha na gaya to usnay kaha: “Bhai sahab, cheenk ko aanay dee jiyey naa. Aap isko rok kyon rahey hain?”
Tub us aadmi nay bataya, “Mein is cheenk ko rooknay ki koshish kar raha hoon kyonkay meri biwee nay kaha tha jub bhi tumhein cheenk aayey to samajhna kay mein tumhein yaad kar rahee hoon. Aur tum fauran merey paas aa jaana.”
Dosra aadmi bola, “To is mein kaunsi buree baat hai?”
Pehlay aadmi nay jawab diya, “Woh is liyey kay meri biwee mar chuki hai.”
Re: Bhai Sahab, aap bhi cheenk maar kar dosri shaadi kar lein
arey aap kya zannat se baat kar rahe hain.manana padega aap ko jo aap ne ye izad kiya ki aab aadami zannat se bhi telephone kar sakta hai dharati par:D