Bhaan Mati ka Kunba

What does this idiom / phrase mean?

Who was this Bhaan Mati? any historical background?

Re: Bhaan Mati ka Kunba

her name was Bhanumati :)

Re: Bhaan Mati ka Kunba

you know her? Sultana Daku ki saa to nahi thi?

Re: Bhaan Mati ka Kunba

mujhe ziyaada 'ilm to nahiiN magar Bhan mati dhokebaaz/jaalsaaz/madaarii ko kahte haiN.

Sultana Daku kii biwii se jis Inspector ne shaadii kar ke uskii daulat se poora moHalla basayaa AligaRh meN ba-naam “Ameer un NishaaN” [Ameeran was Sultana Daku’s wife’s name] us moHalle meN maiN bachpane meN rah chukaa huN…vo inspector saaHab ko maiN ne dekhaa thaa koii 100 baras ke to rahe hoNge…Ameeran kaa bahot jaldi intiqaal ho gayaa thaa is liye maiN ne unheN us ghar meN kabhii nahiiN dekhaa.

Bhanumati lagtaa hai Madhumati kii bahen thiiN…

Madhumati filam aapne dekhi hai? :cb:

Re: Bhaan Mati ka Kunba

but what does Bhan mati ka kunba banana mean? usne kaisa kunba banaya tha?

Re: Bhaan Mati ka Kunba


wallaho 'aalam bissawaab! is she the one who was the wife of Duryodhana?

Re: Bhaan Mati ka Kunba

so it got link with Hindu mythology :hmmm: