bewafai se pareshan bhi ho jatey hain

bewafai se pareshan bhi ho jatey hain narm jhonkay kabhi toofan bhi jatey hain

hum ne mehboob jo badla to taajub kesa
log kafir se musalman bhi ho jatey hain

yun to ik dard ka rishta hai sabhi logon se
log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain

shehr bhar ko main muhabbat to sikha doon lekin
khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain

hadisa ho ya koi mojza sahi kuch ho
rastey pyar k asaan bhi ho jatey hain

Re: bewafai se pareshan bhi ho jatey hain

bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
narm jhonkay kabhi toofan bhi jatey hain
naari bani naar. phool bane angare

Re: bewafai se pareshan bhi ho jatey hain

Kisi film ka gana hy.......?

Re: bewafai se pareshan bhi ho jatey hain

gana nahin hai.. Phool bane angare ek movie thi

Re: bewafai se pareshan bhi ho jatey hain

Nice…:k: