bewafa

manzill un ko mill gei jo hum safar he na thayy

wafaa thee jin se kee, wohe aaj bewafa ho gaye
wo jo karay waade aor khaei thee qasmaien
kay janay wo sub kyaa ho gaye

wo kahate the hum to sadaa he tumhaare hain
saaray zamaane mein sab se the pyaare jinhe hum
wo hee aaj hum se kiyoon judaa ho gaye

kash kabhee paas aa ke tum itanaa bataa do
milaa hai tumhe kyaa, humei yoon rulaa ke
khataa kyaa thee hamari jo ap khafaa ho gaye

saamane bhee agar ab wo kabhee aaye
na dekh sakaingi unko ye bebas nigaahenn
howay jinake liye hum fanaa, wo bewafa ho gaye

Re: bewafa

Mashallah :flower1:

welcome to GS Bewafa Gi :slight_smile:

Re: bewafa

thank you.

Re: bewafa

Nice… :k:
PS:- Us bewafa kee yaad mein nick “bewafa” rakh liya? hai na?

Re: bewafa

bouhat khoob… :k:…

Re: bewafa

abay yaar.. dafa karo.. all these freaken guys are bewafa.. be like me never fall in love :snooty:

Re: bewafa

bhut achay:k:

Re: bewafa

wah..bohat aachay