Dil mein jo bhi khayal aa gaya likh diya
Ek khat mein likha haasil-e-zindagi
Doosray mein tumay bewafa likh diya
Mera apna na tha koi mere siwa
Mein ne chaha kisi ko na chaha gaya
Mein ne jitnay mohabbat bharay khat likhay
Un pe apne hi ghar ka pata likh diya
Raat parchaiyuun mein basar ho gahi
Chand taaray na niklay seher ho gahi
Par na paaye najoomi mere haath ko
Likhnay walay ne na jaanay kya likh diya
Aaj dil k khandar se guzar ho gaya
Rotay rotay girebaan thar ho gaya
Aansuuu ne tere naam k saamnay
Bewafa bewafa bewafa likh diya
Shairi ki hai mein ne tijaarat nahi
Dil mein jo bhi khayal aa gaya likh diya
Ek khat mein likha haasil-e-zindagi
Doosray mein tumay bewafa likh diya
*