bewafa ho gaye#
Alwida keh diya dil ne
Aor yeh qadam
Uth rahe’ the’ kisi aor jaanib magar
Phir bhi ik aas thi
Ke sadaa do gi tum
Aor palat jaaooN’ga ma tumhaare’ liye
Par yeh ho na saka
JhaaNkta tha tumhaare’ khayaaloN ma jab
To pashemaaN sa pa raha tha tumheiN
Tum bi ye chaah rahi theiN
Ke ma laot kar
Dil se tum ko laga looN
Mana looN tumheiN
Ye bhi ho na saka
Ye bhi ho na saka aor jaan-e-wafa
DonoN apni anaa ki fasiilooN tale’
Dab gaye
Mar gaye
Be’wafa ho gaye