woh aik dost jo mujh ko khuda sa lagta ha
bahut qareeb ha phir bi judaa sa lagta ha
zamanay bher ki jafaoon ka jab hisab kia
bewafa dost mujhe bawafa sa lagta ha
nakhuda sath ha phir bi humein sahil na mila
naseeb hum se humara khafa sa lagta ha
zindagi doobi ho jab gham ke sayah khanoon mein
aik dushman bi humein rahnuma sa lagta