ab Dil ko sambhaaleiN ke ghum-e-dil ko sambhaalein
Fursat nahi itni bhi ke do ashk baha lein
be’taab ho tum bhi tau judaai main kisi ki
mumkin ho tau aa jaoo shab-e-hijr mana lein
tum aur karo zulf-e-pareshan ko pareshan
hum dil-e-betaab ko deewana bana lein
bethein hain is andaaz se mei’kash sar-e-mehfil
saaqi ka ishaara ho tau SAGHAR ko uchaalain
ay ehl-e-junooN aao ke weeraN hain shab’o roz
ujrii hui mehfil ko phir ek baar jama lain