Best of Anwaar Qureshi

Re: Best of Anwaar Qureshi

Jesa keh Amal nai kaha hai, no smilies no Thumbs Ups baat karni hai. To Anwaar main aap sai kuchh sawal karoun gi jesay keh aap ki sa'iri sai mehsoos hota hai keh aap ka mehboob guraiz pa hai. Woh majboor nahi bewafa hai. Keya aisa hi hai?...lol.

Mohabbat ka tajurba khushgawar nahi hai? Ya aap tareek pehlo par zeyada nazar rakhtay hain.

Ji Amal bhai keya aisay sawaloun ki ijjazat hai?

Aur Khalid Qureshi kidher hai? Nazar nahi aa raha.....Naseeb-e-dushmana tabiyat to theek hai? Aap ki khush raho ki duayen bari yaad aati hain.

Darwesh kay kheyal sai mujhay itafaq hai. Insan apnay mahol sai zaroor mutasir hota hai jabkeh aap ki nazam ka mahol bilkul Pakistani hai.