nazm ulajhii huii hai siine me.n
misare aTake hue hai.n hoTho.n par
u.Date-phirate hai.n titaliyo.n kii tarah
lafz kaaGaz pe baiThate hii nahii.n
kab se baiThaa huu.N mai.n jaanam
saade kaaGaz pe likhake naam teraa
**bas teraa naam hii mukammal hai
isase bahatar bhii nazm kyaa hogii **
my all time favourite is
Kabhi Kis ko Mukamil Jahaan nahin milta
Kahin Zamin tu Kahin Asmaan nahin milta
tere jahan mein aisha nhin k pyar na ho
jahaan umeed ho uski wahaan nahin milta
jise bhi dikhiye woh apne aap mein gum hai
zubaan mili hai magar hum zubaan nahin milta
kabhi kisi ko mukamil jahaan nahin milta
kahin zamin tu kahin asman nahin milta
:)
ye bataa de mujhe zindagii
pyaar kii raah ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabii
ye bataa de mujhe zindagii
phuul kyuu.N saare murjhaa gaye
kis liye bujh ga_ii chaa.Ndanii
ye bataa de mujhe zindagii
kal jo baaho.n me.n thii
aur nigaaho.n me.n thii
ab vo garmii kahaa.N kho ga_ii
na vo a.ndaaz hai
na vo aavaaz hai
ab vo narmii kahaa.N kho ga_ii
ye bataa de mujhe zindagii
bevafaa tum nahii.n
bevafaa ham nahii.n
phir vo jazbaat kyo.n so gaye
pyaar tum ko bhii hai
pyaar ham ko bhii hai
faasale phir ye kyaa ho gaye
ye bataa de mujhe zindagii
sab doston se guzaarish hai ke koi bhi ghazal ya nazm post kartay waqt sha'yer ka naam bhi zuroor likha karen. Give due credit to those who took pains in composing such beautiful lines.
yeh jo qoul-o-qarar hay kya hay **
*shaq hay ya aitabaar hay kya hay *
*na khula yeh keh samna tera *
*deed hay intazzar hay kya hay *
**koi dil ka maqam samjha'o
*ghar hay ya rahguzaar hay kya hay *