Benaam Sa Yeh Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,
Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahain,
Kya Baat Hai Main Waqt Pay Ghar Kyon Nahi Jata,
Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Saray Jahan Main,
Jo Door Hai Woh Dil Say Utar Kyon Nahi Jata,
Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jatay Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,
Woh Naam Jo Barso Say, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyon Nahi Jata