Benaam sa yeh dard theher kyon nahin jata
Jo beet geya hai woh guzar kyon nahin jata
**
**
Sab kuch to hai kya dhoondti hain nigahain
Kya baat hai mein waqt pe ghar kyon jata
**
**
Woh ek hi chehra to nahin sarey jahan mein
Jo door hai woh dil se utar kyon jata
**
Mein apni hi uljhi huyi raahon ka tamasha
Jate hai jidar sab main udhar kyon nahin jata**
**
Woh naam jo barson se samaya hai zehen mein
Woh khawb agar hai to bikhar kyon nahin jata **