Belaus muhabbat ka ye andaz rahey ga

**Belaus muhabbat ka ye andaz rahey ga
khamosh sa lehja pas-e-awaz rahey ga

veeranay me sadiyon se chupa aik khazana
tu dil me sada ban ke yunhi raaz rahey ga

har sham damak uthey gi yaadon ki chamak se
har subah terey naam se aagaz rahey ga

jab tak dil-e-pursoz ka likha hae dharakna
dharkan me terey dard ka aijaz rahey ga

urta hae khayal aur tujhey chu nahi sakta
nakaam safar haasil-e-parwaaz rahey ga**

Re: Belaus muhabbat ka ye andaz rahey ga

**har sham damak uthey gi yaadon ki chamak se
har subah terey naam se aagaz rahey ga

aaj kal Dentonic ka bol bala hai :D
**

Re: Belaus muhabbat ka ye andaz rahey ga

nhi.......

SENSODYEN Rapid............

Re: Belaus muhabbat ka ye andaz rahey ga

Awesome.