Bekhud kiye detey hain andaaz-e-hijabana

**Bekhud kiye detey hain andaaz-e-hijabana
Aa dil main tujhey rakhloon ey jalwa-e-janana.

Kyun aankh milayee thi, kyoon aag lagayi thi
Aab rukh ko chupa baithey kar k mujhey deewana.

Kiya lutf ho mehshar mein main shikwey kiye jaoon
wo haskey kahey jayein deewana hai dewana.

Saaqi terey aatey hee yeh josh hai masti ka
Sheshey pay gira sheesha pemaney pay paymana.

Maloom nahi Bedam mein kon hon aur kiya hoon
Youn apnon main apna hoon baiganoon mein baygana.

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijabana
Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa-e-janana.**

ab agar kisi ne comment na kiya to wo soondi :stuck_out_tongue:

Re: Bekhud kiye detey hain andaaz-e-hijabana

wah nyc bro :k:

Re: Bekhud kiye detey hain andaaz-e-hijabana

Ahaa ! kia baat hai kakay. boht aala! :k: