~Beiruti Bacha~

**
Kal Jab T.V. Kholla Tha..

Ek Khilona Daikha Tha..

Rang Baranga,

Dhool Say Bojhal…

Per Jub Mainay Ghoar Say Daikha..

Uss Per Surkh Rang Lagga Tha !!

Surkh Ju Rang Tha, Tha wu Lahoo Ka

Sath Main Uskay Ek Bacha Tha..

Ankhoon Main Hairat Thee Uss Ki

Wu Ek Beiruti Bacha Tha

Khak Kay Dher Main Daba Huwa Tha

Jan Ko Apni Harr Chukka Tha

Bazzun Uska Tun Say Judda Tha

Phir Bhee Khilonay Ko Thammay Tha!!

**

Re: ~Beiruti Bacha~

Very touching fara :teary1:

Re: ~Beiruti Bacha~

Touching, Thanks for sharing. :k:

Re: ~Beiruti Bacha~

very nice fara…:k:

Re: ~Beiruti Bacha~

:teary1: Very touching… :teary1:

Re: ~Beiruti Bacha~

I guess its touching for all of us ... Lets hope and pray that it does a bit more before we are sweeped in the same wave... Khudda na karay ... Per halat yahi keh rahay hain cheekh cheekh ker....

Musalmanoo hoshiyar, khabbar-dar !! aur hum kan lapaitay mazzay say keh daitay hain.. Haan Bhai.. Very Touching

I am very bitter at the moment. Bitter and Frustrated...

Re: ~Beiruti Bacha~

Thanks for reading Amal, Prince, MG and Gul...

Re: ~Beiruti Bacha~

Mention not ji. Hum to beitthey hi isi kaam ke leeye heiN :)

Re: ~Beiruti Bacha~

Fara Saheba....Khushbash,

Khudawand Aapko (Humsabhon Ko Sach Kahne Ki ) Aur Zulm Ke Khelaaf Aawaaz Buland Karne Ki Jisarat Ataa Farmawe.... Ameen !

Haq To Yeh Hai, Ke Aapne Qalam Ka Haq Adaa Kardiya.

Nazm Na Sirf Aachhi Balke Iraqi Bachhe Ki Tarha Masoom Bhi Hai,
Aafreen Aur Zindabaad.

Darwesh !

Re: ~Beiruti Bacha~

Well more what we can do? jitna hum logon kay bas mein hay utna tou hum kar hi saktey ,well mazey sey tou nahi kaha keh its touching we can feel the pain jahan bhi zulm ho jis pe bhi ho, aur insan kisi ki pain ko feel kar lay i think is sey barh kay koi baat nahi, aer zulm karay walay yehi baat samjh lain tou phir kisi pe zulm hi na ho lekin yehi duniya hay har aik apnay faaida ka sochta hay …lekin har aik ko iska hisab tou dena hi hoga…

wesey bhi sab muslims akthay ho jaain tou rona hi kis baat ka:teary1:

Re: ~Beiruti Bacha~

:(

Re: ~Beiruti Bacha~

Aap udaas hu gayein HH...

Re: ~Beiruti Bacha~

Aankhain Kholnay par majboor kardainay wali nazam .... Yeh bacha pakistani bhi hosakta hay Agar hum aur hamaray hukmaranoon nay aaqal say kaam nah lia warna "hamari dastaan bhi hogi dastanoon main " ..............