**Main yaaron ka apny yaar tha
Main mehfilon ka gulukaar tha
Main khara hota to tulwar tha
Main beth jaata to lalkaar tha
Main gusy main ek pahaar tha
Main garmi main dumdaar tha
Main sunta na kissi ki pukaar tha
Main khud main gum funkaar tha
Main bolta jesy koi hushyaar tha
Main khamosh bhi samjhdaar tha
Main larny ko har dum tyaar tha
Main khatarnak ek hathyaar tha
Main kaam ka waqt bemaar tha
Main fursaat ka lia beqaraar tha
Main khud khoya dar baar tha
Main kahta auroon ko bekaar tha
Main karta na koi karobaar tha
Main soota tou be shumaar tha
Main taleem sy hardum bezaar tha
Main filmon main jesy sarkaar tha
Main hamesha hi taiz raftaar tha
Main zehaar ki ek pitchkaar tha
Main gunah jo karta maze daar tha
Main achy kamon sy awa zaar tha
Main is jhooti dunya ka shikaar tha
Main bhoola aakhrat beshumaar tha
Main tauba sy sharam saar tha
Main banda aik gunahgaar tha**
- StrangeWorld